Thursday, July 17, 2008

Mere mehaboob sa logo.N me.N khiraam-e-naaz kahaa.N

*Asraa-e-aalam me.N muhabbat sa azeem raaz kaha.N
*Ahaal-e-duniya ka *Gam-gusaar sa andaaz kaha.N

Asraa-e-aalam = Whole world
Ahaal-e-duniya = People of the world
Gam-gusaar = Sympathizer

Yu.N bikhre bistar pe sadiyo.N ke ho thhake haare jaise
warna Ishq ki raah pe chain-o-sukoon sa alfaaz kaha.N

Har lehaaza *tajribaah hue hai.N *zaat-e-ushshaaq se
Mere mehboob sa logo.N me.N *khiraam-e-naaz kaha.N

Tajribaah = Experience
Zaat-e-ushshaaq = Personality of lovers
Khiraam-e-naaz = Coquettish Way Of Walking

Ye ashq hee gustaakh rahe lamha-e-judaai ke dauraan
Didaar-e-yaar ke siva ankho.N ko kisi ki *niyaaz kaha.N

Niyaaz = Desir

Dar pe pehare lagaa diye *harzah zamaane ne ''Pooja''
kon samjhaye khwaabo.N pe *paabandi-e-parvaaz kaha.N

Harzah = Nonsense
Pabandi-e-parvaaz = Restrictions On Flight

Mere rone ka abhi naya naya sil’silaa hai

Teri jaanib mujhe taaza zakham mila hai
Gamo.N ka meri Or badhta Qaafilaa hai

Kal tak tutegi ye khaamoshi siskiyo.N ki
Mere rone ka abhi naya naya sil’silaa hai

Kal tak aashnaa* ka darjaa tujhe diya thha
Aaj se hamnafz* samajhne ka Ibtilaa* hai

Aashnaa: Lover
Hamnafz: Friend
Ibtilaa: Trial

Teri yaad me.N jiu.N yaa gum se maru.N
Khudaya! ye kaisa manzar’e’mubtilaa* hai

Mubtilaa: entangles [ uljhana]

Kya kaam Pooja ke dil ka tere siine me.N
Mera dil todke diya, tujhse sada ka gila hai

biina tere ziNdagi biita duN ye mumkin nahi.

Tera naam leke jaagi hai subha meri,
biina tere aaj raateN sula duN?
ye mumkin nahiN,

tujhe hi chhukar muskuraye lab mere,
biina tere aaj ziNdagi haNsa duN ?
ye mumkin nahiN,

tere haathoN ne mitaye haiN ashq mere,
biina tere aaj palkeN chhalka duN?
Ye mumkin nahiN,

RatoN meN tera chaahna yaad aata hai,
biina tere aaj shamma bhuja duN?
Ye mumkin nahiN,

Teri bahoN meN khoii rahati thi kabhi,
biina tere aaj khud ko bhula duN?
Ye mumkin nahNi,

Mera karar tere ishq ki galiyoN meN hai,
biina tere aaj khushiyaN bula duN?
Ye mumkin nahiN,

Jine ki chahat bas teri bahoN meN hoti hai,
biina tere aaj ziNdagi biita duN?
"pooja" ke liye mumkin nahiN.

Waah re khudaa terii khudaaii

Waah re khudaa terii khudaaii
tune bhii kyaa dooniya banaai
do pal milan sadiiyo.n judaai
waah re khudaa terii khudaaii

kya niraale dastur banaye hai.n
gamo.n ke pahre ghar humaare
khushii apne dar sajaaye hai.n
waah re khudaa terii khudaaii
tune bhii kyaa duniya banaai

zindagi me.n rusvaa naam tera
nahi yakiin tera, ho mumkin to
likh kar du.n ye paigaam mera
waah re khudaa terii khudaaii
tune bhii kyaa dooniya banaai

tere zuulmo.n ko sahake chup
gariib raaho.n me rahake chup
bhukhe guzar gayaa ek aur din
roti panaaho.n me bahake chup
tuu utar zaraa zamii.n pe merii
insaa.n ki ankhe.n yu.n bharaai
naa hogi saagar ki jitni gehraai

tujhse gilaa karke kya haansil
kahaa thha mujhse bhi kisine
taqdir teri jo tune zindagi paai
rahmat khuda ki bitaa hans ke
par hansi to lab pe aati hi nahi
gum ki raat kabhi jaati hi nahi
zindagi meri muskurati hi nahi
ibaadat bhi ki barso.n khuda ki
khudaai inaayat barsaati hi nahi
nahi barsaati ye khudaai inaayat

Waah re khudaa terii khudaaii
kya muqammal zindagi paai……

Gazal:Itna maasoom to dard'e'jigar na thha.

Itna maasoom to dard'e'jigar na thha
Jisme.N rahe, wahi apna ghar na thha

Tere kadmo.N se kyu.N lahoo bahaa
Iss kadar zaalim to ye saffar na thha

Hum bhi aise tishnagii ke maare hai.N
Chale bhi udhar, rastaa jidhar na thha

Izhaar'e'muhabbat teri jaanib hua hota
Lamha'e'wisaal itna muqtasar na thha

Kuch sangiin jurm karu.N marne ke liye
Ek gunaah me.N shayad vo asar na thha

Kabhi rango.N ki tarhaa bikhra tera ishq
Ro diye hum jo aaj vo tir'e'nazar na thha

Aaj khaamoshii se sitam ''Pooja'' pe kiya
Warna kal talak tu itna be'kadar na thha

Jab gai gilaa jataane to pata chala.

Jab dil use bula raha thha,
vo khada duur muskura raha thha,
jab gai gilaa jataane to pata chala,
vo to apne ansu chhupa raha thha.....

sochti thhi dard akele sahati hu mein,
jab gai gila jatane to pata chala,
vo chhup chhup ke gam chhupa raha thha.....

sochti thhi sirf mein hi taare ginti hu rato me,
jab gai gilaa jataane to pata chala,
vo geet gaake khudd ko suula raha thha...

sochti thhi sirf mere kamre me tanhai hai,
jab gai gilaa jataane to pata chala,
vo mahfil me ro roke aankhe suja raha thha...

sochti thhi sirf meine basaya use sanso me,
jab gai gilaa jatane to pata chala,
vo rubaru hoke aaine se pyaar jata raha thha...

sochti thhi sirf thokare mein khati hu dar dar ki,
jab gai gilaa jataane to pata chala,
vo zarre zarre pe surat meri banaa raha thha....

sochti thhi sirf "Pooja" judaai me duubi hai,
jab gai gilaa jataane to pata chala,
vo chhat pe khada mujhe buula raha thha....

Muhabbat kii raah pe rukne kii chaahat nahiiN karte.


Muhabbat kii raah pe rukne kii chaahat nahiiN karte,
DukhoN ke saaye meN bhii rone ki aahat nahiiN karte

Kis kambakhat ko karaar aata hai ishq ke jahaaN meN
Muhabbat ke dar pe beithe harpal raahat nahiiN karte

Mooh mod luN to kahaaN rahegi shaqsiyat apki janaab
Nasiib tera, hum apne dam kisiki shaamat nahiiN karte

KhaaboN meN hi sahii ik niishaani to de hi duNgii tujhe
Par, itne saste meN kisike naam sahooliat nahiiN karte

Kitnii chaahat hai ashqoN se jo kabhii girne nahiiN dete
Merii jaan, iss kadarr qatroN kii hiimaaqat nahiiN karte

Taras khaa kar akhiir dedi dastak ghamoN ke ghar meN
Ey "Pooja" iss umr meN itnii bhii sharaafat nahiiN karte