Thursday, July 17, 2008

Banungi Siitara Marke Asmaan Me...

na bhi mili gar mein tumhe,
to isska kabhi gum na karna,
mein hu tere siine me dil banke,
iss dil me pyar kabhi kam na karna....

tujhme kuch bhi nahi hai tera,
tere to aqs bhi hai mera,
jab yaad sataye kabhi meri,
dekhna uss aine me tu gour se,
hasta hu dikhega chehara mera....

jahiir karu tammanna gar jeene ki,
siitam hoga ye to ziindagi pe meri,
banungi siitara marke aasmaan me,
dekhungi tujhe door se usi angan me,
jaha mein tujhse mila karti thhi,
teri sahil si gehari ankho me kho jaya karti thhi,
jab takrate thhe tere labon se lab mere ,
sharmake jaha teri bahon me chhup jaya karti thhi
tu anaa roz uss chhat pe milne mujhse,
aafftaab dhalne ke baad payega tu mujhe wahan,
muskurake dekhna tu mujhe tab roshan kar dungi
iss pure ambbar ko mein apne noor se,
kahungi sabhi sitaron se,
khush hu aaj apne piya ko dekh kar......

jiindagi me rang pyar ka bhara jo tune,
in palon ko mein kaise bhul paungi,
tujhe basaake apni rooh me sang le jaungi,
door jake bhi tujhse juda na kehalaungi,
iss jahan me to mein sirf teri hi banke rahungi....



na bhi mili gar mein tumhe,
to isska kabhi gum na karna,
mein hu tere siine me dil banke,
iss dil me pyar kabhi kam na karna....

No comments: