Thursday, July 17, 2008

teri hi kami thi tohamat lagane me....

Teri hi kami thhi tohamat lagane me meri mahobbat par,
warna teri yaad me baha har ashq to rusvai de hi jayega

Kabar bana rakhi hai meine pehale se hi, kyu ki janti hu ki,
pi pi ke zahar ansuon ka, ek din mera vajud mit hi jayega

Akhir kab tak jalayega ye aftaab iss kadar meri rooh ko,
madham-madham ye aftaab bhi ek pal me dhal hi jayega

Jina sikhaya thha jise meine har lamhe ko kuch iss kadar,
aaj vo kasam khaye hue hai ki ek din mujhe bhula hi jayega

Mein to kal bhi tanha thhi aur aaj bhi tanha hi raha gai,
mera aqs bacha hai, andhere me iska sang chhut hi jayega

Yaad dila rahi hu tujhe, tere sine me bhi ek dil basta hai,
kaanch sa hai dil tera bhi, lagi thokar,ye dil toot hi jayega

Aye khuda ab to ''pooja'' aana chahati hai teri panah me,
mere janaaze ke saath ye tamanna bhi puri ho hi jayegi

bass zinda laash ki tarha hai mera tan,
kal ye bhi mitti me mil hi jayega............

No comments: