Thursday, July 17, 2008

kabhi wafaon ki doli utthi, kabhi armanon ki artthhi sajti hai.

mohabbat ki hawa chalati hai, har patte ko hawaa lagti hai,
inkar kare wo chaahe kitna, seene main aag to sulagti hai...

tere naam se saans chati hai,yaadon me shaam dhalti hai,
kabhi wafaon ki doli utthi, kabhi armanon ki artthhi sajti hai..

saaki hum tere dar pe ate hai, pine nahi use bhulne ate hai,
aur tu deke du'haai usi be'wffa yaar ki, har jaam bharti hai...

katl karna tha to khanjar se kiya hota, jaan nikalti ek hi bar,
til-til marta dekh hanske kahate hai log, lash bhi marti hai....

are bedardi!! chala to gaya magar khata kya hui ye batata,
kami thi meri wafa me? ye saval kar kar ke ruh pighalti hai..

sarmaya de gaya dukhon ka, khushiyan uu’dhaar le gaya,
na aana samne, tujhe dekhne se nazar bhi sharm karti hai…

tabaahii kaa aalam dekh dekh tuu muskuaata raha wahan,
sab jal gayaa “pooja”,rakh karke ab sirf dhunva utth'ti hai..

No comments: