Thursday, July 17, 2008

Waah re khudaa terii khudaaii

Waah re khudaa terii khudaaii
tune bhii kyaa dooniya banaai
do pal milan sadiiyo.n judaai
waah re khudaa terii khudaaii

kya niraale dastur banaye hai.n
gamo.n ke pahre ghar humaare
khushii apne dar sajaaye hai.n
waah re khudaa terii khudaaii
tune bhii kyaa duniya banaai

zindagi me.n rusvaa naam tera
nahi yakiin tera, ho mumkin to
likh kar du.n ye paigaam mera
waah re khudaa terii khudaaii
tune bhii kyaa dooniya banaai

tere zuulmo.n ko sahake chup
gariib raaho.n me rahake chup
bhukhe guzar gayaa ek aur din
roti panaaho.n me bahake chup
tuu utar zaraa zamii.n pe merii
insaa.n ki ankhe.n yu.n bharaai
naa hogi saagar ki jitni gehraai

tujhse gilaa karke kya haansil
kahaa thha mujhse bhi kisine
taqdir teri jo tune zindagi paai
rahmat khuda ki bitaa hans ke
par hansi to lab pe aati hi nahi
gum ki raat kabhi jaati hi nahi
zindagi meri muskurati hi nahi
ibaadat bhi ki barso.n khuda ki
khudaai inaayat barsaati hi nahi
nahi barsaati ye khudaai inaayat

Waah re khudaa terii khudaaii
kya muqammal zindagi paai……

No comments: