Thursday, July 17, 2008

lagi hai aag mere ghar me....

Lagi hai aag aaj mere ghar me nadi kinare,
Badkismati hai meri, chingari bhi bhuja na sake

Daaman chute sadiyan guazar gai shayad,
Sitam hai khudpe, jo use ab tak bhula na sake

Toota dil to teri tasvir bhi bezar ho gai seene me,
Kho na jaye tukra koi, is dar se dil juda na sake

Khushiyan to do kadam bhi saath nahi chali kabhi,
Gum har pal saath dete hai, isi liye gum thukra na sake

Akhri tamana thhi tera kandha mile mere janaze ko,
Chein nahi hai rooh ko, marke bhi kabar me sula na sake

Khatam ho gai hai ab to dastan-e-jeendagi meri yahan,
Dukh hai is baat ka use ke ''POOJA'' ko aur roola na sake

No comments: