Thursday, July 17, 2008

Iss Dil Me Gam Be'khumar Rahata Hai.

mere khabo ki tabiir hai tu,jindagi ki tasavir hai tu,
duur na chale jana kabhi mujhse kisi mod pe,
tujhse hi babasta mera har karaar rahata hai...

sang hu tere to haste hai ye roye honth mere,
warnaa iss dil me gam be'khumaar rahata hai...

tum mile to laga jannat se ruubaruu ho gai aaj,
warna ye shaqs to jindagi se bimaar rahata hai...

tanhai ne bhi puchha kiska mujhe intzar rahata hai,
ab kya kahe!!! ek sanam hi nahi aata mere dar pe,
warna ane jane valo ka tata be'shumaar rahata hai...

chupke se milne aana chandnirat me mere khab me,
mere ghar pe zulmi jamana paharedaar rahata hai...

tere pyaar me uudati rahati hu mein in fizaon me,
falak ka roshan jahan churane ko jii chahta hai,
na puchh mujhpe kaisa shumar khumar rahata hai..

bichhadne ki bat na karo, jindagi se duur jana nahi,
bina tere ashq sahil aur usme tanha "POOJA" hogi,
kaise kahuu???tere bina mera dil bezaar rahata hai..

No comments: