Thursday, July 17, 2008

Aaj Samajhi Hu, Kyu Darta Hai Har Koi Dil Lagane Se..........nazam

Jiske liye mein zamane me sahe gai rusvai,
fir kyu vo mujhe de gaya naam, hurjai,
aye khuda nahi manzuur faisla tera mujhe,
uljhan me hu mein, doli saji ya meri arthi ut'thai......

Kya rakha hai iss jhahan me jiine ke liye,
hur koi de jata hai zakham siine ke liye,
palkon me ansoo bache hai ab to bahane ke liye,
mein rahe gai tanha, log hai charo or kahane ke liye,
sab kahate hai mujhe, kyu karti ho dua sukh pane ke liye,
are tera nasiib to hai keval dukh sahane ke liye.......

Jiske liye mein zamane me sahe gai rusvai,
fir kyu vo mujhe de gaya naam, hurjai,
khuda ab tak teri mujhe ye riit samajh na aai,
kyu uss bewaffa ke liye mere dil me priit jagai.....

Maine khud barbadi ko apne ghar bulaya hai,
kya dosh du logo ko, logo ne to bas karam nibhaya hai,
ishq na karna, duniya valon ne pahale hi samjhaya hai,
na mani baat unki to aaj meine ishq ka ye siila paya hai,
phoolon ki rut me ye kaisa manzar chhaya hai,
murjhaye sab phool, laga mausum patjhad ka aya hai.....

AAJ SAMAJHI HU, KYU DARATA HAI HUR KOI DIL LAGANE SE,
SIRF BEWAFFI MILTI HAI, BHALE LAD JAO KISIKE LIYE ZAMANE SE....

No comments: