Thursday, July 17, 2008

socha na tha...

Aaj meri nazre uss bewaffa se takrai,
Zindagi ye manzar dikhayegi, socha na tha.....

Uski yaden aaj sailaab ban gai hai mere liye,
Yaaden ankhon me samandar bhar jayegi, socha na tha....

Seene se lagaya tha use marham samajh kar,
Wahi dil ka zakham ban jayega, socha na tha....

Gaye the maikhane me gum bhulane ke liye,
Har jaam me uski tasveer nazar ayegi, socha na tha.....

Apno ne to naffrat ke kabil bhi na samjha hume,
Mot iss kadar gale lagayegi, socha na tha...

No comments: